e’timad-e-ishq ko kyon ra.egan samjha tha main
un ke jalve bhi vahin nikle jahan samjha tha main
ek pasandida giraftari thi azadi na thi
ek qafas tha vo bhi jis ko ashiyan samjha tha main
kis qadar ta.ane diye hain himmat-e-parvaz ne
sochta huun kyon qafas ko ashiyan samjha tha main
ai ma.az-allah mafhum-e-vafa ki vus.aten
zindagi ko muḳhtasar si dastan samjha tha main
kis qadar marghub tha dil ko muqaddar ka fareb
ek parda tha jahan sab kuchh nihan samjha tha main
bavajud-e-gumrahi allah-re josh-e-talash
manzilon ko bhi ghubar-e-karvan samjha tha main
kya ḳhabar ‘shadan’ ye gham bhi javedan hai ya nahin
aish ko bhi yuun hi kuchh din javedan samjha tha main
Leave a Reply