hasrat-o-yas ka ik naqsh-e-pareshan samjha
hal-e-uftada dil-e-sham-e-ghariban samjha
qabil-e-dad hai us shaḳhs ki rangini-e-fikr
dil-e-ḳhun-gashta ko jo ziist ka unvan samjha
be-ruḳhi ne tiri gharat kiya mamura-e-shauq
aaj dekha to use shahr-e-ḳhamoshan samjha
yaas ne chhin li kya ishq ki baligh-nazari
vus.at-e-kaun-o-makan ko jo ye zindan samjha
kuchh na ban aaya jo sar dhun ke to zehn-e-sha.ir
daftar-e-husn ko tasnif-e-baharan samjha
ḳhosha-chin shauq hai us tab-e-rasa ke fan ka
jis ke afkar ko main jannat-e-imkan samjha
the vo ḳhalvat-kada-e-naz ke parde ‘qazi’
barg-e-gul jin ko mira dida-e-hairan samjha
Leave a Reply