qatl-gah ki raunaq
hasb-e-hal rakhni hai
gham bahal rakhna hai
jaan sambhal rakhni hai
zor-e-bazu-e-qatil
intiha ka rakhna hai
dashna tez rakhna hai
aur bala ka rakhna hai
aur kya mire qatil
intizam baaqi hai
koi baat honi hai
koi kaam baaqi hai
vaqt par nazar rakhna
vaqt ek jaada hai
haan bata mire qatil
tera kya irada hai
vaqt kam raha baaqi
ya abhi ziyada hai
main to qatl hone tak
muskurae jaunga
Leave a Reply