dard ki daulat-e-nayab ko rusva na karo
vo nazar raaz hai us raaz ka charcha na karo
vus.at-e-dasht men divane bhaTak jaate hain
dosto ahu-e-ram-ḳhurda ka pichha na karo
tum muqaddar ka sitara ho mire paas raho
tum jabin-e-shab-e-namnak pe ubhra na karo
pas-e-divar bhi divar ka aalam hoga
tum yunhi rauzan-e-divar se jhanka na karo
ghar palaT aane men afiyat-e-jan hai yaaro
jab hava tez chale raah men Thahra na karo
ya dil-o-dida ko tanvir-e-mohabbat baḳhsho
ya dam-e-sub.h zamane men ujala na karo
ye jahan-e-guzaran haath kise aaya hai
pichhe muḌ muḌ ke kisi shaḳhs ko dekha na karo
bhagte lamhe ko kab rok saka hai koi
vo to ik saaya hai saae ki tamanna na karo
sar salamat nahin rahte hain zaban kaTti hai
pattharon ko kabhi bhule se bhi sajda na karo
pyaas bujhti hai kahan tapte bayabanon ki
miri ankhon miri ankho yunhi barsa na karo
ziist hai tez-qadam aage nikal jaegi
tum kisi moḌ pe rukne ka irada na karo
kuchh idhar saae hain jo baḌh ke lipaT jaate hain
‘aḳhtar’ is raah se ho kar kabhi guzra na karo
Leave a Reply