• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Kahan Se Mauj-E-Tarab uThi Ki Malal Dil Se Nikal Gae

Ye Kahan Se Mauj-E-Tarab uThi Ki Malal Dil Se Nikal Gae

ye kahan se mauj-e-tarab uThi ki malal dil se nikal ga.e

vahi sub.h-o-sham jo the garan nafas-e-bahar men Dhal ga.e

ye dayar-e-shauq hai ham-nashin yahan laghzishon men bhi husn hai

jo miTe vo aur ubhar ga.e jo gire vo aur sambhal ga.e

hasin zindagi ki talash thi hamen sarḳhushi ki talash thi

hue zindagi se jo ashna to jarahaton se bahal ga.e

tire sogvaron ki zindagi kabhi mutma.in na guzar saki

jo bujhi kabhi koi tishnagi ka.i aur dard machal ga.e

miri arzuon ke ḳhvab the ki faza-e-husn-o-shabab the

kahin nik.haton men bikhar ga.e kahin rang-o-nur men Dhal ga.e

unhen rahaton ka ḳhayal hai na sa.ubaton ka malal hai

jo tiri talash men chal paḌe jo tiri talab men nikal ga.e

hai bhari bahar to kya karun na mile qarar to kya karun

mire samne hain vo ashiyan jo bhari bahar men jal ga.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Waiz Piye Hue Hun Khuda Ke Liye Na Chhed

poet

Raat Kafi Lambi Thi Dur Tak Tha Tanha Main

Aisi Nai Kuchh Baat Na Hogi

Dil Hai Aaina-E-Hairat Se Do-Chaar Aaj Ki Raat

nasir-kazmi

Gham-Fursati-E-Khwab-E-Tarab Yaad Rahegi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet