rakhte hain dushmani bhi jatate hain pyaar bhi
hain kaise gham-gusar mire gham-gusar bhi
afsurdagi bhi ruḳh pe hai un ke nikhar bhi
hai aaj gulsitan men ḳhizan bhi bahar bhi
piita huun main sharab-e-mohabbat to kya hua
piita hai ye sharab to parvardigar bhi
milne ki hai ḳhushi to bichhaḌne ka hai malal
dil mutma.in bhi aap se hai be-qarar bhi
aa kar vo meri laash pe ye kah ke ro diye
tum se hua na aaj mira intizar bhi
ai dost ba.ad-e-marg bhi main huun shikasta-hal
dil ki tarah se TuuTa hua hai mazar bhi
‘purnam’ ye sab karam hai ‘qamar’ ka jo aj-kal
hota hai ahl-e-fan men tumhara shumar bhi
Leave a Reply