val-asr zamana mire matlab ka nahin hai
ye a.ina-ḳhana mire matlab ka nahin hai
kahti hain na la pa.engi ye tab-e-nazara
ankhon ka bahana mire matlab ka nahin hai
aa.i huun tire vaste jannat se zamin par
varna ye Thikana mire matlab ka nahin hai
is men hai mira sanvi kirdar likhari
tera ye fasana mire matlab ka nahin hai
ik shaḳhs ki ḳhatir hai ye sab milna-milana
vaise vo gharana mire matlab ka nahin hai
ji ḳhuub laga vahshat-e-bedari-e-shab men
din ḳhvab suhana mire matlab ka nahin hai
jab mujh se tire baare men puchhega zamana
kah dungi divana mire matlab ka nahin hai
ehsas ka ‘nilam’ jo nahin tere bayan men
lafzon ka ḳhazana mire matlab ka nahin hai
Leave a Reply