
Azeem Murtaza
gham ka ye saliqa bhi rah gaya hai ab ham tak
zaar zaar rote hain aankh men nahin nam tak
yaad jaane valon ki raushni ḳhayalon ki
dil ka saath deti hai ek manzil-e-gham tak
tujh se mil ke bhi tera intizar rahta hai
sub.h ru-e-ḳhandan se shaam zulf-e-barham tak
ab nishan mile shayad manzil-e-tamanna ka
tere hijr ke gham se aa ga.e tire gham tak
ek dard-e-hasti ne umr bhar rifaqat ki
varna saath deta hai kaun aḳhiri dam tak

Leave a Reply