is jahan pe hal-e-dil ashkar karna hai
aaj ek hasid ko razdar karna hai
karne hain gile us se ranjishen bhi rakhni hain
pyaar bhi sitamgar ko be-shumar karna hai
mausam-e-yaqin men jo bad-guman rahta hai
us se pyaar ka rishta ustuvar karna hai
jaane vaale aḳhir ko lauT kar bhi aate hain
ham ne hashr tak us ka intizar karna hai
samne raho mere ya nigah se ojhal
sham-e-gham tujhe main ne ashk-bar karna hai
asl men mohabbat ki suraten yahi do hain
be-qarar hona hai be-qarar karna hai
Leave a Reply