ek tarik ḳhala us men chamakta hava main
ye kahan aa gaya hasti se sarakta hua main
shola-e-jan se fana hota huun qatra qatra
apni ankhon se lahu ban ke Tapakta hua main
agahi ne mujhe baḳhshi hai ye nar-e-ḳhud-soz
ik jahannam ki tarah ḳhud men bhaḌakta hua main
muntazir huun ki koi aa ke mukammal kar de
chaak par ghumta bal khata darakta hua main
majma.a ahl-e-haram naqsh-ba-divar udhar
aur idhar shor machata hua bakta hua main
mere hi dam se mili sa.at-e-imkan use
vaqt ke jism men dil ban ke dhaḌakta hua main
be-niyazi se miri aate hue tang ye log
aur logon ki tavajjoh se bidakta hua main
raat ki raat nikal jaata huun ḳhud se bahar
apne ḳhvabon ke ta.aqub men humakta hua main
aisi yakja.i ki miT jaa.e tamiz-e-man-o-tu
mujh men khilta hua tu tujh men mahakta hua main
ik to vo husn-e-junun-ḳhez hai aalam men shuhud
aur ik husn-e-junun-ḳhez ko takta hua main
ek avaz paḌi thi ki koi sa.il-e-hijr?
aan ki aan men pahuncha tha lapakta hua main
hai kashid-e-suḳhan-e-ḳhas vadi.at mujh ko
ghumta phirta huun ye itr chhiḌakta hua main
raz-e-haq faash hua mujh pe bhi hote hote
ḳhud tak aa hi gaya ‘irfan’ bhaTakta hua main
Leave a Reply