Kab Ahl-E-Ishq Tumhaare the Is Qadar gustaKH

kab ahl-e-ishq tumhāre the is qadar gustāḳh

unheñ tumhīñ ne kiyā chheḌ chheḌ kar gustāḳh

baham ye jam.a hue ḳhuub idhar udhar gustāḳh

ki dil bhī merā hai terī bhī hai nazar gustāḳh

hameñ milā bhī to ma.ashūq kis tarah kā milā

jafā pasand bad-aḳhlāq fitna-gar gustāḳh

ham apne dil se mohabbat meñ be-ḳhabar na raheñ

ki hai bahut kisī gustāḳh kī nazar gustāḳh

kisī ne mujh ko rulāyā koī hañsā mujh par

jo tū huā to huā terā ghar kā ghar gustāḳh

kahā thā maiñ ne ki dil ko sazā.eñ aap na deñ

ye pesh-tar se huā aur beshtar gustāḳh

adab se kaam vo lete nahīñ sar-e-mahfil

yuuñ hī ho aur koī dūsrā agar gustāḳh

ham aur zikr-e-mohabbat dil aur shikva-e-ġham

ḳhamoshiyoñ ne tumhārī kiyā magar gustāḳh

mujhe javāb ye qabl-az-savāl dene lagā

ab is se hogā sivā kyā payāmbar gustāḳh

dil-o-nazar ko lihāz-o-hayā se kyā matlab

ye be-adab hai sarāsar vo sar-ba-sar gustāḳh

kabhī kabhī jo tirī sharm-gīñ nigāh mile

to maiñ banā.ūñ use chheḌ chheḌ kar gustāḳh

ye tajarbe ne batāyā ye ādatoñ se khulā

vo jis qadar hai mohazzab usī qadar gustāḳh

kahīñ tumheñ bhī Dubo de na bahr-e-ulfat meñ

bahut hai nuuh kā tūfān-e-chashm-e-tar gustāḳh

Leave a Comment