• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rishton Mein Bhi Aai Siyasat Kaisi Be-Imani Hai

Rishton Mein Bhi Aai Siyasat Kaisi Be-Imani Hai

rishton men bhi aa.i siyasat kaisi be-imani hai

hain saare alfaz shagufta lahje men virani hai

ho gaya mushkil kaise chhupa.un sar se le kar paanv talak

apni chadar phaT sakti hai aisi khincha-tani hai

us ko paane ki koshish men jaan tiri halkan hai kyuun

duniya andar se pital uupar sone ka paani hai

is hammam men sab nange hain kis pe uTha.e ungli kaun

apni apni chaukhaT hai apni apni peshani hai

main apne kamre men baiTha tanha tanha jalta huun

chhat par chham-chham naach rahi hai kaisi barkha raani hai

aate jaate lamhe us ko dekh rahe hain hairat se

taḳht banaya hai sone ka do din ki sultani hai

ham ne kiya ‘maqsud’ ḳhasare ka ye sauda jivan bhar

apne baare men nahin socha baat sabhon ki maani hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Teri Talash to Kya Teri Aas Bhi Na Rahe

munawwar-rana

Patthar Ke Hont

poet

Dekhna Uski Tajalli Ka Jise Manzur Hai

mirza-ghalib

Ajab Nashat Se Jallad Ke Chale Hain Hum Aage

poet

Yan Ke Hone Ko Misalon Ki Zamin Chahiye Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet