baa.is koi aisa hai ki main kuchh nahin kahta
varna mujhe sauda hai ki main kuchh nahin kahta
ilzam ye jhuTa hai ki main kuchh nahin kahta
kya vo miri sunta hai ki main kuchh nahin kahta
jhuTa tira kahna hai ki main kuchh nahin kahta
da.ava mira sachcha hai ki main kuchh nahin kahta
tu dekh raha hai jo mira haal hai qasid
mujh ko yahi kahna hai ki main kuchh nahin kahta
kahna jo na tha kah gaya dekho to DhiTa.i
aur phir kahe jaata hai ki main kuchh nahin kahta
vo zid pe tule baiThe hain kya bahs se hasil
mauqa hi ye aisa hai ki main kuchh nahin kahta
thi sam.a-ḳharashi ki shikayat kabhi un ko
ab sunta huun shikva hai ki main kuchh nahin kahta
bad-goi si bad-goi hai bohtan sa bohtan
aur us pe vo kahta hai ki main kuchh nahin kahta
main kuchh kahun to haath vo kanon pe hain dharte
aur ulTa ye chheḌa hai ki main kuchh nahin kahta
aata hai jo munh par vo kahe jaate hain be-rok
aur us pe ye fiqra hai ki main kuchh nahin kahta
main dekh chuka huun unhin kah kah ke magar kya
us ka hi natija hai ki main kuchh nahin kahta
main kis se kahun kya kahun sunta hai vahan kaun
us ka hi ye mansha hai ki main kuchh nahin kahta
ye tark-e-mohabbat nahin un se magar ai dost
ranj aisa hi pahuncha hai ki main kuchh nahin kahta
qainchi si chali chalti hai dekho to zaban aur
us par bhi ye da.ava hai ki main kuchh nahin kahta
raaz un ke khule jaate hain ek ek sabhon par
aur us pe tamasha hai ki main kuchh nahin kahta
sach baat ke sunne ki unhen taab kahan hai
is se yahi achchha hai ki main kuchh nahin kahta
baten hain ki chhuriyan si chubhi jaati hain dil men
mera hi kaleja hai ki main kuchh nahin kahta
main kahne pe aa.uun to rula kar unhen chhoḌun
mat puchh sabab kya hai ki main kuchh nahin kahta
chup-chap suni an-suni kar deta huun har baat
ghairon men bhi charcha hai ki main kuchh nahin kahta
nazuk hai mizaj un ka yahan sach ki hai aadat
is samjhe sabab kya hai ki main kuchh nahin kahta
bigḌa hai mizaj aur kahin tez na ho jaa.en
mujh ko yahi sansa hai ki main kuchh nahin kahta
kyuun apni zaban se kahun puchho tum unhin se
raaz is men nahin ya hai ki main kuchh nahin kahta
jo ranj azizon ne diye kya kahun ‘kaifi’
ghairat ka taqaza hai ki main kuchh nahin kahta
Leave a Reply