is dil men agar jalva-e-dil-dar na hota
zinhar ye dil mazhar-e-asrar na hota
hota na agar jam-e-mai-e-ishq se sarshar
hargiz dil-e-divana ye hoshyar na hota
hota na agar us ki mohabbat se sarokar
ye gham-zada rusva sar-e-bazar na hota
hoti na kabhun is dil-e-bimar ko sehhat
gar lutf-e-masiha-e-lab-e-yar na hota
piita na agar jam-e-mai-e-ishq to hargiz
dil sirr-e-haqiqat se khabar-dar na hota
hota na agar aina-e-jalva-e-dildar
dil mahr-sifat matla-e-anvar na hota
hota na agar ishq ko manzur ye izhar
vahdat se ye kasrat ko sarokar na hota
agah haqiqat se na hota kabhu ‘asim’
khadim ka agar faiz madad-gar na hota
Leave a Reply