• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nazar Nazar Se Wo Kaliyan Khila Khila Bhi Gaya

Nazar Nazar Se Wo Kaliyan Khila Khila Bhi Gaya

nazar nazar se vo kaliyan khila khila bhi gaya

gul-e-murad ko qadmon men raundta bhi gaya

buland shaḳh ke gul ki tarah na haath aaya

vo rif.aton pe raha apni chhab dikha bhi gaya

mujhe naved-e-juda.i sunane aaya tha

juda hua to miri samt dekhta bhi gaya

vo zaḳhm zaḳhm pe marham lagane aaya tha

ada-e-baḳhiya-gari se unhen dikha bhi gaya

vo mera shola-jabin mauja-e-hava ki tarah

diye jala bhi gaya aur diye bujha bhi gaya

vo kam-nigah tha kam-zarf to na tha ki mujhe

pyala de bhi gaya tishnagi baḌha bhi gaya

suḳhan ke a.inon men dekh dekh apne nuqush

jhijak jhijak bhi gaya aur jhumta bhi gaya

miri hi tarah tha vo bhi junun ki zad men magar

mujhe sambhal ke ḳhud ko sambhalta bhi gaya

vo jis ka daman-e-shaffaf ab bhi hai be-dagh

vufur-e-shauq men mujh ko gale laga bhi gaya

us ik nazare men the kitne didani pahlu

vo mere haal pe roya bhi muskura bhi gaya

gham-e-vida.a men pinhan tha aur bhi ik gham

ki dil se shauq-e-mulaqat-e-barha bhi gaya

firaq-e-yusuf-e-gum-gashta kam na tha sadiq

ki mere haath se kan.an-e-quetta bhi gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

anjum-rehbar

Milna Tha Ittifaq Bichhadna Nasib Tha

Duniya Meri Bala Jaane Mahngi Hai Ya Sasti Hai

seema-sharma-meeruthi

Suni Na dasht Ya dariya Ki Bhi Kabhi Maine

shahryar

Kab Saman dekhenge Hum Zakhmon Ke Bhar Jaane Ka

Qalb-E-Viran Se Rangin Ghazal Mange Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet