aarzu jiine ki thi imkan jiine ka na tha
ḳhvahishen thiin saf-ba-saf saman jiine ka na tha
qarz tha tera so jite-ji tujhe lauTa diya
zindagi varna mujhe arman jiine ka na tha
dosti zahrab se ki ranj-o-gham se ki nibah
varna ye mahaul meri jaan jiine ka na tha
zindagi tu chhoḌ mera saath main be-zar huun
mera tera to koi paiman jiine ka na tha
main ne hansne ki aziyyat jhel li roya nahin
ye saliqa bhi koi asan jiine ka na tha
kuchh tiri rahmat pe takiya kuchh gunahon ki kashish
varna us duniya men to insan jiine ka na tha
zehn ki avargi minnat-kash-e-duniya na thi
zindagi ka bhi ‘mujibi’ dhyan jiine ka na tha
Leave a Reply