charagh-e-kushta se qindil kar raha hai mujhe
vo dast-e-ghaib jo tabdil kar raha hai mujhe
ye mere miTte hue lafz jo damak uThe hain
zarur vo kahin tartil kar raha hai mujhe
main jagte men kahin ban raha huun az-sar-e-nau
vo apne ḳhvab men tashkil kar raha hai mujhe
harim-e-naz aur ik umr baad main lekin
ye iḳhtisar jo tafsil kar raha hai mujhe
badan pe taaza nishan ban rahe hain jaise koi
mire ghayab men tahvil kar raha hai mujhe
badal rahe hain mire ḳhadd-o-ḳhal ‘turk’ abhi
musalsal a.ina tavil kar raha hai mujhe
Leave a Reply