main ne koshish ki bahut lekin kahan yakja hua
saf.ha-e-hasti ka shiraza raha bikhra hua
zehn ki khiḌki khuli dil ka daricha va hua
tab jahan ke dard se rishta mira gahra hua
kya patta kab kaun us ki zad pe aa jaa.e kahan
vaqt ki raftar se har shaḳhs hai sahma hua
kis ki yaad aa.i mo.attar ho rahe hain zehn-o-dil
kis ki ḳhushbu se hai saara pairahan mahka hua
peḌ ke niche shikari jaal phaila.e hue
aur parinda shaḳh par baiTha Dara sahma hua
do-qadam bhi ab tumhare saath chalna tha muhal
raah tum ne ḳhud alag kar li chalo achchha hua
zindagi har zaviye se dekhta huun main tujhe
hai miri fikr-o-nazar ka da.era phaila hua
chhap ga.i paani men apni chhab dikha kar jal-pari
aaj phir ‘nayab’ mere saath ik dhoka hua
Leave a Reply