vajud par inhisar main ne nahin kiya tha
ki ḳhaak ka e’tibar main ne nahin kiya tha
safed resham ki oḌhni mere haath men thi
magar use dagh-dar main ne nahin kiya tha
ye be-niyazi ki ḳhu mire husn men bahut thi
magar use be-qarar main ne nahin kiya tha
mila tha ḳhorajin men liye mera kasa-e-sar
magar use sharmsar main ne nahin kiya tha
kahin se yak-laḳht zindagi meri kaaT dega
jo rasta iḳhtiyar main ne nahin kiya tha
sumon-tale raund de ḳhushi se magar ye sun le
gunah ai shahsavar! main ne nahin kiya tha
dikha.i dene laga vo ik tisra kinara
abhi javani ko paar main ne nahin kiya tha
ghurub ka vaqt tha muqarrar so chal paḌa main
kisi ka phir intizar main ne nahin kiya tha
Leave a Reply