har ek zaḳhm ki shiddat ko kam kiya jaata
namak se kaam na marham ka gar liya jaata
dilon ka bojh dilon se utarne ke liye
ye lazmi tha gareban ko siya jaata
zamana paanv ki Thokar men aa bhi sakta tha
saron ko apne uTha kar agar jiya jaata
kami na aati tire ehtiram men shaha
kisi gharib ka haq jo use diya jaata
hamari maut bhi hoti baqa hamari ‘nabil’
ki pyala zahr ka hathon se gar piya jaata
Leave a Reply