faza.en ḳhushk thiin ghar ki to bahar kyon nahin dekha
darichon se vo hangamon ka manzar kyon nahin dekha
zamin ke ḳhushk lab ye mausamon ka zahr piite hain
to tum ne asmanon ka samundar kyon nahin dekha
fazaon ki kasak se kuchh taqaze bhi badalte hain
havas lamhat ko tum ne kuchal kar kyon nahin dekha
suna ye hai samundar men jazire bhi numayan the
haTa kar badban tum ne Thahar kar kyon nahin dekha
jo ghar men chhoḌ aaya tha kafan oḌhe hue rishte
na jaane us ne basti ko palaT kar kyon nahin dekha
suna hai barf se bhi ungliyan logon ki jalti hain
to tum ne sard angaron ko chhu kar kyon nahin dekha
janab-e-‘rind’ tum to pujte aa.e ho patthar ko
jo darvaze pe chaspan hai vo patthar kyon nahin dekha
Leave a Reply