• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tare Jo Kabhi Ashk-Fishani Se Nikalte

Tare Jo Kabhi Ashk-Fishani Se Nikalte

saleem-kausar

taare jo kabhi ashk-fishani se nikalte

ham chand uthae hue paani se nikalte

khamosh sahi markazi kirdar to ham the

phir kaise bhala teri kahani se nikalte

mohlat hi na di gardish-e-aflak ne ham ko

kya silsila-e-naql-e-makani se nikalte

ik umr lagi teri kushada-nazri men

is tangi-e-daman ko girani se nikalte

bas ek hi mausam ka tasalsul hai ye duniya

kya hijr-zada khvab-e-javani se nikalte

vo vaqt bhi guzra hai ki dekha nahin tum ne

sahraon ko dariya ki ravani se nikalte

shayad ki ‘salim’ amn ki surat nazar aati

ham log agar shola-bayani se nikalte

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

faiz-ahmad-faiz

Har Haqiqat Majaz Ho Jae

poet

duba Hua Uthun dam-E-Mahshar Sharab Mein

Rutba-E-taKHt Se Mahrum Hai Mansab Mera

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

Tere Wade Ka Har Ek Ko Agar Etibar Hota

Hum Karen Baat Dalilon Se to Radd Hoti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet