marte marte raushni ka ḳhvab to puura hua
bah gaya saara lahu tan ka to din aadha hua
raston par peḌ jab dekhe to aansu aa ga.e
har shajar saaya tha teri yaad se milta hua
sub.h se pahle badan ki dhuup men niind aa ga.i
aur kitna jagta main raat ka jaaga hua
shahr-e-dil men is tarah har gham ne pahchana mujhe
jaise mera naam tha divar par likkha hua
ziist ke pur-shor sahil par ga.e lamhon ki yaad
jis tarah saaya ho sat.h-e-ab par Thahra hua
gham hue vo ashna chehron ke a.ine kahan
shahr hai saare ka saara dhund men lipTa hua
vasl ke badal zara tham husn-e-qamat dekh luun
pyaas ka sahra to hai ta-chashm-e-tar phaila hua
mujh ko ashob-e-hikayat jaan lene ki havas
aur ye tera badan ik dastan kahta hua
gham jo milta hai to ai tausif siine se lagao
kis ne lauTaya hai yuun mehman ghar aaya hua
Leave a Reply