junhi nigah men tira chehra utar gaya
daman udaas raat ka taron se bhar gaya
us bhiiḌ men saval miri zindagi ka tha
dastar thame haath men tu bhi guzar gaya
kab ḳhvab-kar-e-ishq men tai kar saka koi
jitni miri bisat thi utna main kar gaya
us ne jala-bujha ke sataya hazar baar
jab bhi charagh use miri dene ḳhabar gaya
tark-e-ta.alluqat ki babat ‘naved’ aaj
puchha jab aa.ine se to vo bhi mukar gaya
Leave a Reply