falsafi kis liye ilzam-e-fana deta hai
lafz-e-kun ḳhud miri hasti ka pata deta hai
ho gaya tark-e-marasim ko zamana lekin
aaj tak dil tiri nazron ko dua deta hai
thartharate hue hathon se dava ke badle
charagar aaj na jaane mujhe kya deta hai
kuchh to hota hai hasinon ko bhi ehsas-e-jamal
aur kuchh ishq bhi maghrur bana deta hai
soz-e-ulfat se vo kam-maya-e-gham hai mahrum
atish-e-dil ko jo ashkon se bujha deta hai
parda-dari bhi hai ik maslihat-e-ḳhas-e-jamal
shauq nazzare ki qimat ko baḌha deta hai
zindagi de ke musibat men hamen Daal diya
koi yuun bhi kahin be-jurm saza deta hai
daar mil hi ga.i mansur ko vaa.iz varna
kaun duniya men mohabbat ka sila deta hai
haa.e us bekas-o-majbur ki qismat ‘arshi’
shaam se pahle hi jo sham.a jala deta hai
Leave a Reply