tab.a ishrat-pasand rakhta huun
ik dil-e-dardmand rakhta huun
bahut kahta nahin main pasti ko
apni fitrat buland rakhta huun
chashm-e-batin se dekhta huun main
chashm-e-zahir ko band rakhta huun
lafz shirin hain aur ma.ani talḳh
zahr-amez qand rakhta huun
kamyabi muhal hai ‘aḳhtar’
zauq itna buland rakhta huun
Leave a Reply