• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Nek-O-Bad Ki Jise Khabar Hi Nahin

Nek-O-Bad Ki Jise Khabar Hi Nahin

poet

nek-o-bad ki jise khabar hi nahin

shar hai kam-bakht vo bashar hi nahin

vo hain kis haal men khabar hi nahin

sar bhi nicha hai ik nazar hi nahin

haath khali hai mal-o-zar hi nahin

kya uden jabki bal-o-par hi nahin

mai ki babat khayal kar vaaiz

is men nafe bhi hain zarar hi nahin

sharm se tere ru-e-raushan ke

shams bhi zard hai qamar hi nahin

jis ke baais hai zindagi be-lutf

lutf ye hai use khabar hi nahin

raah har dil ko hoti hai dil se

mere dil ki unhen khabar hi nahin

yaar to qatl-e-am kar daale

tegh bandhe kahan kamar hi nahin

zabt ki nisbat aap ka hai khayal

main huun ashiq mire jigar hi nahin

mere siine ko chiir kar dekho

dil bhi rota hai chashm-e-tar hi nahin

asman laakh baar dushman ho

kya ho barbad mere ghar hi nahin

kaun kahta hai mujh ko saudai

ek muddat se mere sar hi nahin

ham qayamat se bhi hue be-fikr

shab-e-hijran ki jab sahar hi nahin

paanv phailae mast hote hain

fuqara kyunki mal-o-zar hi nahin

vo to mujh ko jalae jaenge

baad murdan bhi umr bhar hi nahin

baad murdan hai hashr ka khatka

meri jaan fikr se mafar hi nahin

murgh be-vajh chikhe jaata hai

ye na bole to janvar hi nahin

zulm par ab hai asman nadim

sar bhi nicha hai ik nazar hi nahin

tauba tauba hazar-ha sharten

kya bataun agar magar hi nahin

phirte ho saikdon nadidon men

tum ko khauf-e-nazar guzar hi nahin

aadmi aadmi hai izzat se

aab jis men na ho guhar hi nahin

kam hai ye zad-e-rah ai ‘parvin’

tum ko andaza-e-safar hi nahin

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahida-hasan

Mile Jo Naqa-E-Wahshat Ko Sarban Koi

Ek Dard Ki Lazzat Hi Sahi KHwahish-E-Gham Mein

ahmad-javed

duniya Se Tan Ko dhanp Qayamat Se Jaan Ko

Apne Muhafizon Se Hirasan Hai Zindagi

Sufi

diya Jab dil To dilbar Ka Gila Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet