pareshan bhi karegi gul khila ke
tamashe dekhte rahna hava ke
yahin jannat yahin goya jahannam
tu hi ab soch ai bande ḳhuda ke
bulate vo agar to kya na jaate
girafta yuun bhi kab the ham ana ke
gulon par kanpte shabnam ke qatre
larazte harf honTon par dua ke
havas ki aag ne jhulsa diya hai
hamen chalna tha kuchh daman bacha ke
hai kis ke lams ki ḳhushbu gulon men
dhanak men rang hain kis ki ada ke
Thaharte hain zara palkon pe aansu
sitare TuTte hain jhilmila ke
koi parde ke pichhe bolta tha
magar ham ḳhush hue the lab hila ke
hamari jaan par ban aa.i lekin
kahan hai mutma.in vo aazma ke
kabhi khul kar miyan-‘faruq’ hans do
ye kya rah jaate ho tum muskura ke
Leave a Reply