ye alag baat ki ham sa nahin pyasa koi
phir bhi dariya se ta.alluq nahin rakkha koi
mere maktab ko dhamake se uḌaya gaya hai
ab ki hathon men kitaben hain na basta koi
jaane kis or gaya qafila ummidon ka
dil ke sahra men nahin aas ka ḳhema koi
kis ajab dhun men yahan umr ganva.i ham ne
qarz miTTi ka utara na hi apna koi
pyaas ke hathon mira qatl hua hai ‘noman’
dost dariya the magar paas na aaya koi
Leave a Reply