• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / zaKHm Kab Ka Tha Dard uTha Hai Ab

zaKHm Kab Ka Tha Dard uTha Hai Ab

zaḳhm kab ka tha dard uTha hai ab

us ke jaane ka dukh hua hai ab

meri ankhon men ḳhvab hain jis ke

us ki ankhon men rat-jaga hai ab

sunte aate hain qafila dil ka

rahguzar men kahin ruka hai ab

vo jo patthar ka tha musafir vo

shahr-e-afsun se aa gaya hai ab

jo miri ḳhvahishon ki manzil thi

us ke aane ka rasta hai ab

jis ko DhunDa tha main ne har janib

mere dil men kahin chhupa hai ab

kitne ḳhvabon men rang us ke hain

kitni ankhon se dekhta hai ab

kitne mausam hain sirf us ke liye

kitne chehron pe vo saja hai ab

kitni baton men us ki baten hain

kitne lahjon men bolta hai ab

jo tire shahr le ke aata tha

ruḳh vo dariya badal raha hai ab

aao dastak hi de ke dekhen to

vahi darvaza phir khula hai ab

is havale se zindagi meri

ghane jangal ka silsila hai ab

ek divana apni vahshat men

baat kahne ki kah gaya hai ab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Qaid Mein Rahte Hain Jab Tak Bhi Jiye Jate Hain

mardan-ali-khan-rana

Gai Fasl-E-Bahaar Gulshan Se

zaKHmon Ke Nae Phul Khilane Ke Liye Aa

shah-naseer

Jo Guzre Hai Bar Aashiq-E-Kaamil Nahin Malum

Dasht-O-Sahra Mein Samundar Mein Safar Hai Mera

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet