tira mizaj takabbur ka shaḳhsana tha
ta.alluqat ka manzar badal hi jaana tha
ga.e the ham bhi faqat rasm hi nibhane ko
aur us ka tarz-e-amal bhi muḳhasamana tha
kisi ke unche dar-o-bam mohtaram the magar
hamen hava ke liye rasta banana tha
ye ḳhaak bughz-o-adavat se paak rakhni thi
zamin-e-dil pe shajar pyaar ka ugana tha
main janta huun use mujh pe e’tibar na tha
agarche mere gavahon men ik zamana tha
ye tu ne tark-e-marasim ki baat kyon chheḌi
hamen to yuun bhi tira shahar chhoḌ jaana tha
ka.i charagh munDeron pe jal bujhe ‘anvar’
use na aana tha shayad use na aana tha
Leave a Reply