be-dili men bhi dil baḌa rakhna
ye daricha sada khula rakhna
raat ke sehr men hai saara nagar
apne ghar ka diya jala rakhna
ye ghaḌi sabr-azma hogi
zinda rahne ka hausla rakhna
saari ḳhushiyan vafa nahin kartin
dard se dil ko ashna rakhna
bhuul kar bhi na dil pe mail aa.e
aa.ina ye sada dhula rakhna
sinch kar ḳhuun se ek ik lamha
peḌ patjhaḌ men bhi hara rakhna
phal kabhi to khila.egi ye hava
apni niyyat ka aasra rakhna
Leave a Reply