jin ke angan men amiri ka shajar lagta hai
un ka har aib zamane ko hunar lagta hai
chand taare mire qadmon men bichhe jaate hain
ye buzurgon ki duaon ka asar lagta hai
maan mujhe dekh ke naraz na ho jaae kahin
sar pe anchal nahin hota hai to dar lagta hai
Leave a Reply