bad-khvabi se bachne ke the kaise kaise nuskhe
bismillah
phir pahla kalima dusra kalima charon qul
aur dahni karvat sona
niind to ab aati hai kam kam aur agar aa bhi jaae to
khvab kahan achchhe aate hain
gahra dariya dubti naav tuute pul ke ukhde takhte
raushan-dan pe kaale shishe
divaron par khuun ke chhinte
aag dhuan bechain karahen
ik karvat par sote sote
dahina ang be-jan hua hai
ik ik kalima ik ik qul
kya jaane kitni baar padha hai
ye bad-khvabi kab jaegi
Leave a Reply