Wae-Taqdir Kya Ye Alamiya Nahin

vā.e-taqdīr kyā ye alamiya nahīñ

sab haiñ apne magar koī apnā nahīñ

dīda-o-dil ki sunsān sahrā hue

dil meñ jazba to āñkhoñ meñ sapnā nahīñ

ishq ko tark karne meñ diqqat na thī

ishq ko mashġhala ham ne samjhā nahīñ

ab ke mujh se milā vo to aisā lagā

vo hī chehra hai lekin vo chehra nahīñ

phuñk rahā hai badan kunj-e-tanhā.ī meñ

sar pe chhat hai magar maañ kā saaya nahīñ

merī nazroñ meñ duniyā bhī uqbā bhī hai

aadmī huuñ maiñ ‘at.har’ farishta nahīñ

Leave a Comment