hasad ki aag thi aur daagh daagh siina tha
dilon se dhul na saka vo ghubar-e-kina tha
zara si Thes lagi thi ki chuur chuur hua
tire ḳhayal ka paikar bhi abgina tha
ravan thi koi talab si lahu ke dariya men
ki mauj mauj bhanvar umr ka safina tha
vo janta tha magar phir bhi be-ḳhabar hi raha
ajiib taur tha us ka ajab qarina tha
bahut qarib se guzre magar ḳhabar na hui
ki ujḌe shahr ki divar men dafina tha
Leave a Reply