• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Hua Maal Hubab Ka Jo Hawa Mein Bhar Ke Ubhar Gaya

Ye Hua Maal Hubab Ka Jo Hawa Mein Bhar Ke Ubhar Gaya

ye hua ma.aal hubab ka jo hava men bhar ke ubhar gaya

ki sada hai lutma-e-mauj ki sar-e-pur-ghurur kidhar gaya

mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakha qadam koi

mujhe par laga.e shauq ne kahin thak ke main jo Thahar gaya

mujhe piiri aur shabab men jo hai imtiyaz to is qadar

koi jhonka bad-e-sahar ka tha mire paas se jo guzar gaya

asar us ke ishva-e-naz ka jo hua vo kis se bayan karun

mujhe to ajal ki hai aarzu use vahm hai ki ye mar gaya

tujhe ai ḳhatib-e-chaman nahin ḳhabar apne ḳhutba-e-shauq men

ki kitab-e-gul ka varaq varaq tiri be-ḳhudi se bikhar gaya

kise tu sunata hai ham-nashin ki hai ishva-e-dushman-e-aql-o-din

tire kahne ka hai mujhe yaqin main tire Darane se Dar gaya

karun zikr kya main shabab ka sune kaun qissa ye ḳhvab ka

ye vo raat thi ki guzar ga.i ye vo nashsha tha ki utar gaya

dil-e-na-tavan ko takan ho mujhe us ki taab na thi zara

gham-e-intizar se bach gaya tha naved-e-vasl se mar gaya

mire sabr-o-tab ke samne na hujum-e-ḳhauf-o-raja raha

vo chamak ke barq rah ga.i vo garaj ke abr guzar gaya

mujhe bahr-e-gham se ubuur ki nahin fikr ai mire chara-gar

nahin koi chara-kar ab mire sar se aab guzar gaya

mujhe raz-e-ishq ke zabt men jo maza mila hai na puchhiye

mai-e-angbin ka ye ghunT tha ki gale se mere utar gaya

nahin ab jahan men dosti kabhi raste men jo mil ga.e

nahin matlab ek ko ek se ye idhar chala vo udhar gaya

agar aa ke ghussa nahin raha to lagi thi aag ki bujh ga.i

jo hasad ka josh faro hua to ye zahr chaḌh ke utar gaya

tujhe ‘nazm’ vadi-e-shauq men abas ehtiyat hai is qadar

kahin girte girte sambhal gaya kahin chalte chalte Thahar gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tu Ja Rahi Hai chhoD Ke Ja Phir Kabhi Sahi

ada-jafarey

Har Ek daricha Kiran Kiran Hai Jahan Se Guzre Jidhar Gae Hain

poet

Jagah Jagah Se Shikasta Hain KHam Hain Diwaren

Apni Auqat Zamana Ko Batate Aae

poet

dilbar Se dard-E-dil Na Kahun Hae Kab Talak

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet