gar jazba-e-vahshat ka ai dil yahi unvan hai
do roz ka daman hai do din ka gareban hai
hansne men ki rone men marne men ki jiine men
ma.alum nahin kis men ḳhushnudi-e-janan hai
ham vahshiyon ka maskan kya puchhta hai zalim
sahra hai to sahra hai zindan hai to zindan hai
zindan men ḳhayal itna ai dast-e-junun rakhna
ta-umr asiri hai aur ek gareban hai
allah zamane ke dil ko rakhe qaabu men
ham jante hain manzar kyuun chaak gareban hai
Leave a Reply