janne ke liye betab tha aghyar ka haal
us ne puchha na hamare dil-e-bimar ka haal
sham.a bhi jalne pe amada thi parvana bhi
ek jaisa hi tha matlub-o-talabgar ka haal
sogvari men hamari the barabar ke sharik
ham se milta tha hamare dar-o-divar ka haal
sarv-e-timsal hai qamat men shabahat men gulab
kya bayan samne us ke karen gulzar ka haal
us taraf jo bhi gaya lauT ke aaya na kabhi
puchhiye kis se maqam-e-rasam-o-dar ka haal
sab ne dil thaam liya dekh ke us ko ‘abid’
ek hi jaisa hua kafir-o-dinda ka haal
Leave a Reply