vo jo mahfil men ḳhuub hansta tha
haa.e vo shaḳhs kitna tanha tha
chup ka ye tajraba bhi kaisa tha
saara ghar saa.en saa.en karta tha
tum se ruTha to tha zarur magar
ḳhud se Dar kar main ghar se bhaga tha
jitne aansu the mere apne the
aur har qahqaha paraya tha
husn kya zehn ki zarurat thi
ishq kya jism ka taqaza tha
pak chuki fasl kaaT ab is ko
khet vahmon ka tu ne boya tha
tum ne jis ki dua.en mangi thiin
abr vo parbaton pe barsa tha
mere andar ka main visal ki shab
mujh se bhi tez tez dauḌa tha
haa.e vo din ‘naresh’ jab us ne
ḳhat na likhiye ye ḳhat men likkha tha
Leave a Reply