main pichhli raat kya jaane kahan tha
duaon ka bhi lahja be-zaban tha
hava gum-sum thi suuna ashiyan tha
parinda raat bhar jaane kahan tha
havaon men uḌa karte the ham bhi
hamare samne bhi asman tha
miri taqdir thi avaragardi
mira saara qabila be-makan tha
maze se so rahi thi saari basti
jahan main tha vahin shayad dhuan tha
main apni laash par aansu bahata
mujhe dukh tha magar itna kahan tha
safar kaaTa hai kitni mushkilon se
vahan saaya na tha paani jahan tha
kahan se aa ga.i ye ḳhud-numa.i
vahin phenk aao a.ina jahan tha
main qatl-e-am ka shahid huun ‘qaisar’
ki basti men mira uncha makan tha
Leave a Reply