Aankhon Mein Chand KHwab-Numa Tir gaD Gae

āñkhoñ meñ chand ḳhvāb-numā tiir gaḌ ga.e

bahte lahū ke Dar se papoTe sikuḌ ga.e

maiñ aag ke qarīb se guzrā na thā kabhī

ThanDak kī narm dhuup se dhāge udhaḌ ga.e

kuchh beḌiyoñ ne ḳhasta kiyā jism-o-jān ko

manzar tak aate aate mire paañv jhaḌ ga.e

kaisī dalīleñ kaisī munājāt kuchh nahīñ

tujh se bichhaḌnā thā jinheñ ḳhud se bichhaḌ ga.e

māñgī na thī duā kabhī maiñ ne phir ek shab

uThne kī der thī ki mire haath jhaḌ ga.e

Leave a Comment