thi shaam qarib aur dahqan
maidan men tha galle ka nigahban
dekhi us ne kaman nagah
jo karti hai menh se ham ko agah
rangat men use ajiib paaya
zahir men bahut qarib paaya
pahle se vo sun chuka tha akasr
hai qaus men ik piyala-e-zar
mashhur bahut hai ye kahani
afsana-tarash ki zabani
milti hai jahan kaman zamin se
milta hai vo jam-e-zar vahin se
socha lo jaam aur banu jam
chhodo buzu go safand ka gham
behuda ganvar is guman par
sidha gaya tiir sa kaman par
din ghatne laga qadam badhaya
ummid ki ab khazana paaya
jitni koshish ziyada-tar ki
utni hi kaman pare ko sarki
pinhan hui qaus akhir-e-kar
aur zulmat-e-shab hui numudar
nakam phir vo saada dahqan
hasrat-zada gham-zada pasheman
Leave a Reply