• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Aag Dekhta Tha Aur Jal Raha Tha Main

Ek Aag Dekhta Tha Aur Jal Raha Tha Main

ik aag dekhta tha aur jal raha tha main

vo shaam aa.i magar haath mal raha tha main

ye umr kaise guzari bas itna yaad hai ab

udaas raat ke sahra pe chal raha tha main

bas ek zid thi so ḳhud ko tabah karta raha

nasib us ke ki phir bhi sambhal raha tha main

bhari thi us ne rag-o-pai men barf ki ThanDak

so ek barf ki surat pighal raha tha main

ḳhuda-sifat tha vo lamha ki jis men gum ho kar

zamin se asman ke dukh badal raha tha main

main ek ahd tha ik ahd ki alamat tha

hazar chehron men din raat Dhal raha tha main

bas ek abr ke saa.e ne aa liya mujh ko

azaab oḌh ke ghar se nikal raha tha main

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Samne Apne Tu Bula Ke to Dekh

ameer-minai

Main Ro Ke Aah Karunga Jahan Rahe Na Rahe

akbar-allahabadi

Khatm Kiya Saba Ne Raqs Gul Pe Nisar Ho Chuki

akbar-allahabadi

Kah do Ki Main Khush Hun Rakhun Gar Aapko Khush

Main Kuchh Dinon Mein Use chhoD Jaane Wala Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet