us ko jis se ḳhuun ka rishta na tha
kaise ham kahte ki vo apna na tha
tishna-lab the log dariya ke qarib
dasht men lekin koi pyasa na tha
har-nafas ik karb hai dil men liye
aadmi itna kabhi TuuTa na tha
dard ki ik bhiiḌ thi mere qarib
zindagi men main kabhi tanha na tha
ret ki tahrir thi mera vajud
yaad rakhna main koi aisa na tha
Leave a Reply