ye sab kahne ki baten hain ki aisa ho nahin sakta
mohabbat men jo dil mil jaa.e phir kya ho nahin sakta
shikayat ho nahin sakti ki shikva ho nahin sakta
zara sa chheḌ de koi to phir kya ho nahin sakta
bura.i ka evaz hargiz bhala.i ho nahin sakti
bura kah kar kisi ko koi achchha ho nahin sakta
hamara un ka qissa log sunte hain to kahte hain
maza hai hashr tak yaksu ye jhagḌa ho nahin sakta
karen teri shikayat kya ki tu ik dost hai apna
kisi dushman ka bhi ham se to shikva ho nahin sakta
ilahi jazb-e-dil ki is kashish se baaz aaya main
koi parda-nashin kahta hai parda ho nahin sakta
‘hafiz’ un ki ghazal hai choT kha baiThi hain jo dil par
baghair is ke suḳhan men lutf paida ho nahin sakta
Leave a Reply