apna hi kirdar rad karta hua
main kahani mustanad karta hua
ik naya naqsha bana laaya huun main
shahr ko sahra ki had karta hua
sharh dil ki likh raha huun main na.i
har purani soch rad karta hua
ishq likkhega na.e eraab ab
mere dil ko shadd-o-mad karta hua
is tarah se mustanad hota gaya
ik qalandar ḳhud ko rad karta hua
aur phir divar men dar ho gaya
ishq yuun meri madad karta hua
Leave a Reply