aankh paḌte hi na tha naam shakeba.i ka
dar-e-mai-ḳhana tha naqsha tiri angḌa.i ka
ma-siva us ke nahin jis ka koi aur sharik
kaun batla.ega aalam miri tanha.i ka
pak-damani-e-yusuf thi zuleḳha ki saza
rasta chaak se paida hua rusva.i ka
saḳhtiyan himmat-e-dil ho to badal jaati hain
maut ik khel hai lekin tire shaida.i ka
ham ko un mai-kada-e-dahr se ummid nahin
saghar ulTa hua hai gumbad-e-mina.i ka
tar-e-malbus men thi ya ḳhat-e-taqdir men thi
haal khulta nahin yaqub ki bina.i ka
aane de niind to sab so.en magar ai tauba
nala-e-ishq ka is par shab-e-tanha.i ka
dil-e-nazuk mutahammil nahin gham ho ki surur
phuul maqtul hai ḳhud apni hi ra.ana.i ka
na hua vasl-e-tamanna na ghaTi vahshat-e-dil
kya natija tha miri badiya-paima.i ka
vo na aa.en sar-e-balin ki main bachne ka nahin
dam na TuuTe mire saath in ki masiha.i ka
aa.ina jis men sada Duub ke ubhra kya husn
ek Thahra hua paani hai ḳhud-ara.i ka
saath dene ka to ehsan hai mujh par lekin
sham.a ne naam Duboya miri tanha.i ka
husn ke haath bandhe to vo zara der sahi
mujh par ehsan tiri aa.i hui angḌa.i ka
us ke sunne ke liye jam.a hua hai mahshar
rah gaya tha jo fasana miri rusva.i ka
shauq-e-pa-bosi-e-mahbub tha varna ‘saqib’
sang-e-dar par koi mauqa tha jabin-sa.i ka
Leave a Reply