do pal ke hain ye sab mah o aḳhtar na bhulna
suraj ghurub hone ka manzar na bhulna
kitni tavil kyuun na ho batil ki zindagi
har raat ka hai sub.h muqaddar na bhulna
yadon ke phuul ghar se uTha kar chale to ho
dekho inhen kisi jagah rakh kar na bhulna
maan ne likha hai ḳhat men jahan jaao ḳhush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulna
haq par agar chaloge to har aaḌe vaqt men
tum ko panah degi ye chadar na bhulna
Leave a Reply