na jaane kab se barabar miri talash men hai
ye kaun khud mire andar miri talash men hai
vo mujh men aur kisi ko talash karta hai
jo mere paas bhi rah kar miri talash men hai
gila tha jis ko ki main us ka aina na bani
ab apne saae se thak kar miri talash men hai
ubal padun na main ik din kahin kinaron se
zamin huun main samundar miri talash men hai
Leave a Reply